URS MUBARAK SAYYED SHAH HAMZA AINI


 *_Urs Mubarak Hazrat Sayyed Shah Hamza Aaini رحمة الله تعالى عليه14, Muharram, Mazar e paak  Mahrehrah Shareef, U.P._*


*بسم الله الرحمن الرحيم*

*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*


Aapki wiladat e sa'adat 14 Rabi ul awwal shareef 1131 hijri mein huwi aap ka shumaar Mahrehra Mutahhara ke unn 7 qutub mein hai jinki basharat *Hazrat Bu-Ali shah Qalandar رحمة الله تعالى عليه* ne di thi,

Mahrehra Mutahhara ko Allah ﷻ ne yeh sharf e kamaal bakhsha ke ek hi gumbad shareef ke niche saañt (7) qutub aaram farma hai jiss mein sabse pehle Hazrat *Sayyed Shah Barkatullah رحمة الله تعالى عليه* aur unke baad *Shah Barkatullah رحمة الله تعالى عليه* ke farzand  *Hazrat Sayyed Shah Aale Muhammed رحمة الله تعالى عليه* hai unke baad *Sayyed Shah Hamza Aaini رحمة الله تعالى عليه* teesre (3) qutub hai Mahrehra Mutahhara ke 

Hazrat Shah Hamza Aaini رحمة الله تعالى عليه Tawajjoh e khaas aur musalsal riyazat wa mujahida ki ba-daulat jald hi wilayat ke mansab par faeez ho gaye deeni uloom aap ne apne walid e majid Shah Aale Muhammed Sahab aur Shamshul Aulema maulana Muhammed Bakir se hasil ki. 

Kashiful Astaar

Fassul Kalemat

Masnavi Ittefakiya aur

Qaseeda Gouhar baar (urdu) aap ki tasneefi shahkar hai.

Aapke 2 farzand huwe dono buland paaya maqam wali e kamil aur Qutbiyat ke maqam par faeez huwe 

Bade farzand *Sayyed Shah Aale Ahmed Achhe Miya رحمة الله تعالى عليه* jinheiñ Aalam e Sunniyat Shamsh e Marehra ke laqab se yaad karti hai aap ki likhi huwi kitab Aaina e Ahmadi 34 jildoñ mein hai jo aaj bhi aalam e sunniyat ke liye rehnumai farma rahi hai aap Mahrehra Shareef ke chauthe (4) qutub hai Hazrate Hamza Aaini ke doosre farzand *Hazrat Sayyed Shah Aale Barkaat Suthre Miya رحمة الله تعالى عليه* aap Marehra Shareef ke paañchve (5) qutub.

Huzoor Suthre Miya رحمة الله تعالى عليه ke Farzand *Sayyed Shah Aale Rasool Ahmadi رحمة الله تعالى عليه* jo Khatamul Aqabir ke laqab se jaane jaate hai aur aap ke mureed wa khalifa waqt ke mujaddid Bareily ke Tajdaar Imam Ahmed Raza khan رحمة الله تعالى عليه hai  aap Mahrehra Shareef ke chathe (6) qutub hai.

Sayyed Shah Aale Rasool ke pote (grandson) *Sarkar e Noor Sayyed Shah Abul Hussein Ahmade Noorie miya رحمة الله تعالى عليه* jinki tasneefi karname duniya e sunniyat mein mashoor o maroof hai aap ke mureedeen wa khalifa mein shumaar Sarkar Tajdar e Ahle Sunnat Mujaddid ibne Mujaddid Huzoor Mufti e Aazam رحمة الله تعالى عليه bhi hai aap Mahrehra Shareef ke saañtve (7) Qutub hai.


         *سُــــبْحانَ الله*

 


*Hubbe Ahle Bait Aale Muhammed ke Liye*

*Kar Shaheed e Ishqe Hamza Peshwa ke Waaste*


*_www.shafquateditingart.blogspot.in_*

Comments

Popular Posts